What is Affiliate Marketing Urdu Hindi - My Web

What is Affiliate Marketing Urdu Hindi

Affiliate Marketing kya hai?

 is article me detail k sath jane gy ka Affiliate marketing se paise kaise kamaye aur esse income kaise hoti hai, affiliate program ko join karne kliay konsi requirement hai. isme kitne paise kama skte hain aur isse hone wali earning hame kaise mile gi is ka sath he janiay affiliate marketing program ki A to Z information is post me.



Affiliate Marketing Kya Hai
Online paise kamane ka tarikon mainse Affiliate marketing aik best tarika hai jisme app without investment buht se income generate kar skte hain.

internet par hazaron companies apne products sell karti hain, inme buht se companies apne products sell karne kliay logon ki help late hain iskliay aik program launch kia gia hai jisse affiliate marketing kaha jata hai.


Agar app kisi bhi company ka Affiliate program join karte hain To woh apko  products ka ads, banners ya links date hain jo apko apne blog/website par lagate hain ya other sources throw promote karte ho to jo koi bhi apke links se unke website par jakar koi product buy karta hai to apko uska commission mile ga jo ka 1$ se 1000$ ya esse bhi ziada ho skta hai yeh apke product par depend karta hai ka apke link se konsa product sell howa hai aur iski price kya thi, jitna ziada price ka product app sell karen utni ziada apki earning hogi. umeed hai ka yeh to app app samajh gy honge ka Affiliate marketing kya hai?      

Affiliate software Kia hai?
companies apne Affiliate Program ko create karne kliay aik software ka use karti hain jisse Affiliate software kaha jata hai.

Affiliate Marketing se Paise kaise kamaye
Sabse pehle aik acha sa affiliate marketing program join karen, internet par buht se companies affiliate program provide karti hain lakin unme kuch fraud bhi hain app kisi trusted company ko select karen jaise amazon, flipcart, alibaba etc.

ab app unke ads banners apne website par lagain aur kisi ayse product ka intekhab karen jo apki website ka content se related ho. yahan apko yeh baat clear karta chalon ka in adds par click ke paise nhi milen gy balke jab koi apke site par lage adds par click kare unke site se koi product buy kare ga to usme se kuch percentage ( jo ka har company mukhtalif hota hai ) apko commission mile ga, isse liay apke site par minimum 5000+ traffic hona chahia agar apki site par traffic low hai to phir apko kuch khas benefit nhi mile ga.

es ka elawa agar app affiliate marketing kliay alag se aik blog create karen, kisi aik product ya category ko target karen jis me apka interest ho . example: agar app jewelry ko promote karna chahte hain ese name ka domain buy karen, agar apko es name domain nhi milta to app kisi dosry product ko target karen jis name ka domain apko asani se mil jai bhir ese keyword ka mutabik apne blog ki on page seo karen aur sirf esi product ko apne blog me promote karen.

apne karna kuch istrah hai ka jo bhi product app apne blog par promote karna chahte hain uski aik pic apne pass save karni hai ab app blog par new post likhe, subse pehle us product ke title ko copy karen aur apne post ka title me dal den, image ko post me add karen aur is product ki jitni bhi detail hai wo sab ki sab apne post me dal den ab app apni traf se product ke related thora buht likhe aur jo bhi content apne copy paste kia unko thora buht change karen agar tamam content same hoto apka blog rank nhi kare ga isliay isme thori buht changes zarori hai.

ab app googe par shop now button search karen aur apni post me add karden iske baad app is button me apna affiliate link add karen takeh jo bhi yeh product buy karna chahe woh ispar click karke apke link throw buy kare aur apki earning ho.

so friends is trah aik to apka blog jaldi rank kare ga aur jo bhi organic search se traffic ayga un mainse ziada tar users buyer honge aur apka products ziada sell hone ka chances honge, yeh to app jante hain ka jitne sell ziada hogi utni earning ziada hogi. try karne me koi harj nhi kunke yeh koi itna mushkil kaam nhi.


Important Note: app domain buy karne aur blog start karne se pehle keyword research zaror kare aur jis keyword par searches ziada aur competition low ho app us par kaam kare insha allah apka blog jaldi rank kare ga.

Kya affiliate marketing kliay website ya blog ka hona zarori hai
G nahi Affiliate marketing kliay website ya blog ka hona zarori nhi hai, app chahen to social media par affiliate marketing karke paisa kama skte hain agar apke paas aik barra facebook page hai ya app online shopping ya jin products ka promotion karna chahte hain uske related groups ko join karen. eske elawa agar apke paas aik youtube channel hai aur apki videos par ache khase view aty hain to is par app affiliate marketing se kafi paise kama skte hain.


Youtube bhi Affiliate Marketing kliay best platform hai jispar app products ka review karke buht ziada sells kar akte hain, Subse pehle apke pass aik youtube channel hona chahiay, phir apni videos me top 5 se 10 products ka review kare aur un products ka referral link video ka description me dale den, ab agar kisi users ko inme se koi product pasand ata hai to woh apke referral link throw usse buy kare ga. so yeh bhi aik best way hai but iske result kya milta hai yeh apki mehnat pa depend karta hai.



konsi company affiliate program deti hai kaise pata kare
internet hazaron companies kaam karti hai lakin har company affiliate program nhi dati apko kaise pata chale ga ka konsi company affiliate program deti hai iskliay google par company ka name ka sath Affiliate ( alibaba affiliate ) likhe agar woh affiliate program deti hogi to google par apko uska link mil jay ga.

Company Affiliate marketing program join karne ka kitna charge lati hai
Affiliate program join karne ka koi charges nhi hain yeh bilkul free of cost hai, agar koi company apse charge late hai to app usko join na kare kiunke yeh apko koi benefit nhi degi yeh sarasar fraud aur dhoka hai.  


Kya Affiliate marketing Ads ko Adsense ka sath use kar skte hain.
buht se blogger adsense ka sath Affiliate marketing k ads isliay use nhi karte liunke woh darte hai ka adsense ka sath Affiliate marketing k ads lagane se hamara adsense account disapproved hojai gai, ese wajha se woh Affiliate marketing ki income se mehroom rahte hain.


main unko bata dena chahta hon ka google isko allow karta hai app befikar ho kar laga skte hain esse apke adsense account me koi issue nhi aty. han app google adsense ka alternative ad medias ka ads adsense ka sath nhi laga skte.


Affiliate marketing companies Payment kaise deti hain.
har company ka payment method mukhtalif hoti hain jaise bank transfer, paypal etc. app easily apne bank account me money transfer karwa skte hain.

Final Words:
I hope ab app achhi trah jaan ay honge ka Affiliate Marketing Kya hai? or Affiliate marketing se Paise Kaise Kamaye aur iske related apke mind me ane wale questions ka answers bhi apko mil gay honge lakin phir bhi agar apke mind me koi question ho to app comment karskte hain me insha allah apko jaldi answer dane ki koshish karon ga.

kaam start karne se start karne se pahle Apko Affiliate Marketing kya Hai ki mukamal jankari honi chahiya uske baad app ne mehnat lagan aur mustaqil mizagi ka sath kaam start karna hai.

End me main apko yeh batana nhi bholon ga ka jitna bhi mushakil kaam ho lagan aur mustaqil mizagi ka sath kia jay to kamyabi zaror milti hain, agar yeh 2 cheezain apke andar nhi to phir apka telnet bhi kisi kaam ka nhi app kabhi bhi kamyab nhi ho skte.


Friends! Umeed karta hon ka Affiliate Marketing kya Hai post apko kafi achhi lagi hogi, app isko social media par share karna mat bholiay ga. banda nacheez ko duaon me yaad rakhiay ga- Allah Hafiz


No comments:

Post a Comment