Keywords Planner Or Keyword Ko Research Kase Karte Hain Hindi/Urdu ? - My Web

Keywords Planner Or Keyword Ko Research Kase Karte Hain Hindi/Urdu ?

Hello Friends
Aaj ham baat karain ge Keywords Planner se related or Keywords Planner kasy kaam karta he Keywords Planner ko search karne ke kya fayde hain or Keywords Planner ko kase research karna he ye sab batain main aj ap ke sath share karon ga
full detail janne ke liay full article lazmi padhain




Keywords Planner Ko Kio Research Karte ha?
agar ap online earning main apna pehla qadam rakh rahe hain to is ko kabhi bhi mushkil samaj kar back nahi laana
or jo kam trending main chal raha ho us se related research karte raha karo kio ke us ke searches buhat zyada hote hain
or us tranding wale kaam ki pori jankari hasil kar lo phir us Keywords Planner ke Mahana search check karo agar ap ko Keywords Planner ke searches kafi zyada lag rahe hain to us keyword pe kaam lazmi se karain
or us keyword ko apni post main jitna zyada ho sake use karain



Keywords Planner Ko Kase Search Krain?
is ke liey ap ko apne computer ke chrome browser main Keywords Everywhere  extension add karni pade gi
keywords everywhere ko add karne ke baad ap ne is ko gmail ke ziriay ective kar lena he or phi jab bhi ap Keywords Planner ko search karain ge to ap ke samne buhat sare keywords aa jain ge waha se jo ap ko acha lage us ke choose kar lain or istimal karain
Youtube Main Keywords Planner Ko Kesy Use Krain?
jab ap koi bhi video shoot karte hain to us video ka title bhi wo hi Keywords Planner hona chahiy jo ap ne keywords everywhere se search kya ho
or jab ap video ke liay thumbnail bnao to us ka title bhi wo hi Keywords Planner hona chahiy
or jab ap video ko upload karne lago to us ke title main bhi wo hi Keywords Planner ko add karain
or jab description likhne lago to description main bhi us Keywords Planner ko 3een se 4aar bar use karain
or jo ap ne us video ke tag bnane hain zyada se zyada das tag bnane hain or un das tags main us Keywords Planner ka use lazmi se karain



Keywords Planner zyada Kon Se Tools Se Check Kiay Jate Hain?
buhat sary tool pad hote hain jesy ke sab se acha tool Ahrefs he laikin ye free nahi he agar ap new ho to aap is ko buy na karain or jo free ke hain un se kaam karain
Free Ke Tools Kon Se Hain?
jesa ke main ne ap ko btaya he Keywords Planner ko choose karne ke liay keywords everywhere bhi buhat achi Keywords Planner ki serves deta he or is ke ilawa Google Adword ka bhi use kar sakte hain ye bhi buhat achi Keywords Planner ki serves deta he
jo tool pad hain wo to 100% sahi hote hain or jo free ke Keywords Planner tools hain wo 80% se 90% thek bta dete hain



Last Text
agar ap ko ye article helpful Sabit hua he to is article ko apne friends ke sath lazmi se share karain
or agar ab bhi ap ka koi sawal he Keywords Planner se related to neche comment karain main ap ka jawab zaroor don ga
so i hope you like this my article thank you

1 comment:

  1. Hello I am so delighted I located your blog, I really located you by mistake, while I was watching on google for something else, Anyways I am here now and could just like to say thank for a tremendous post and a all round entertaining website. Please do keep up the great work. canada visum online

    ReplyDelete