Dark Web Kya hai? Surface Web, Deep Web Full Jankari
Dark Web Kya Hai? kia aap jante hain ka internet ko 3 parts me taqseem kia jata hai jisme aik Surface Web dosra Deep web aur tesra hai Dark web, is article me main teeno parts ka bare me detail ka sath baat karonga, Dark web ka naam to aap ne suna he hoga aur Shaid iske bare me basic maloomat bhi apke paas ho.
lakin kia aap yeh bhi jante hain ka Dark Web aap apne computer me bhi access ya surf kar skte hain lakin iskliay apko aik khas web browser install karna pare ga jiska naam hai tor browser. ab apke mind Question hoga ka yeh tor browser kya hai aur esse Dark web access kare. so in tamam question ka answer apko is post me mil jain gay.
Dark Web Kya hai?
Surface Web Kya Hai
Surface Web woh hoti hai jo ka har normal insan surf karta hai jaise facebook twitter Instagram google etc yeh sab surface websites hain iske elawa google, yahoo ya dosry kisi search engine me jo bhi website index hoti hain wo surface web kehlati hain, matlab ham kisi bhi surface web ko search ka throw easily access kar skte hain.
surface web ko har normal insan surf kar skta hai. Surface Web All internet ka just 5 Percent hai, iska matlab hai hum jo internet use karte hain wo internet 5% Percent hai, baqi ka 95% Deep Web Aur Dark Web me hai.
Deep Web Kya Hai
Deep Web ayse Website hain jisse access karna har kisi ka bus ki baat nhi hai, yeh particular logon kliay banaye gai hai, Deep web ko koi bhi search engines index nhi karta aur jis website ko search engine index hi na kare aap jitna bhi usse search karen woh apko nhi mile gi aur nahi Deep Web ko access karne kliay apko koi tricks mile gi.
Deep web ko access karne kliay apke pass us website ka specific url hona chahiay jisse aap open karna chahte hain lakin iska link apko kahin se nhi milne wala, isme govrment ki secret website, bank ki website ya companies ki information hoti hai, inka link sirf unke paas hota hai ja isme work karte hai, Sedhi si baat yeh ka Deep web me apka koi kaam nhi hai.
Dark Web Kya hai.
Dark We internet ki dunya ka khatarnak tareen part hai, yeh fully illegal hai isme tamam kaam illegal hote hain, juraim pisha anasir Dark web par he apne napak dhande karte hain isme qatal, aghwa, drug Supply, samagling, hathiaron ki khared o farokht aur har qism ka illegal kaam kiay jate hain. Dark web me kiray ka qatil bhi mil jate hain jo paise lekar begunah aur masoom logon ka khon bahate hain.
isme kaam karne wale logon tak koi bhi nhi pouhnch pata kiunke isme IP ko Hide kardia jata hai esiliay kisi ko bhi pata nhi chalte ka esse kon aur kahan use kar raha hai. Dark web kya hai yeh to apne jaan lia ab jaan late hain ka dark web ko access kaise kare.
Dark Web ko access kaise kare
Dark web ko access karne kliay apke paas website ka link hona zarori hai aur agar apke paas link hai to phir bhi aap esse normal browser jaise Chrome, Firfox, opera etc. par access nhi kar skte iskliay apko apne computer me tor browser install karna pare ga, tor browser ka interface aam browser ki trah hai yeh especially Dark web kliay banaya gia hai isme aap link daal kar kisi bhi dark website ko access kar skte hain.
main apko hurgiz recomend nhi karonga ka aap Dark web ko surf karen kiunke dark web ko surf karne se apka computer bhi hack hoskta hai aur is choti si ghalti ki qimat apki jaan bhi ho skte hain, yeh to aap jante he hain ka is dunya me jaan se barh kar qimti cheez koi bhi nhi.
Mujhe ummed hai ka aap apko yeh post pasand aygi aur aap jaan gay honge ka Dark web kya hai aur esse kaise access kare, agar koi question hoto comment kijiay me apko jaldi answer dane ki koshih karon ga, agar yeh post acchi lage to social media par share kijiay aur duaon me yaad rakhiay ga- Allah Hafiz

No comments:
Post a Comment