Hello friend Blogging aur SEO ke post me aapka swagat hai. iss post me aap janege Micro niche blogging kya hai aur kaise banate hai aur kyu banana chahiye usse hone wale fayde aur EMD seo tarike se micro niche domain name kaise kharide? bhi yis post me mene Share kiya hai. agar aapko nahi pata ki micro niche blogging kya hota hai to uski sari detail aap yaha se jan sakthe hai.
Micro Niche Blogging kya hota hai? Exact Match Domain ( EMD) tarike se micro niche domain name kaise kharide.
Micro Niche Blogging
Agar aap blogger ho aur side me aap ek aur blog start karni ki soch rahe hai to aap micro niche blogging ko bhi try kar sakthe hai. agar aap acceh blogger hai ya seo ki thodi bahut knowledge rakhte hai to aap micro niche blogging sirf 2 weeks me hi khada kar sakoge kyu ki yisme aapko zayda mehnat bhi karni nahi padti. aur isme investment zayda return milta hai. vo depend on aapka keywords research and seo strategy kaise hai.
Niche kya hota hai? (what is niche blogging in hindi)
Niche blog Ka mtlb hota hai Category, Topic, Industry jis pe blog banate hai.
aap mere hi blog ko dekh lo. me mere blog pe Digital marketing, SEO aur blogger ke bare me aur dusre topic pe blog hai. jisko hum niche blog khe sakthe.
Micro Niche Blogging kya hota hai?
Main niche ke under Sub Niche hota hai aue uske depth me jaye to aata hai Micro Niche.
Micro niche Ka mtlb hota hai ki ak special targeted category ke under category pe blogging karna usko hum micro niche blogging kehte hai.
Micro Ka mtlb hota hai Chota jiska area Kam hota hain Jo ki ak hi chij pe targeted ya concentrated reh ke blog ko banaya jata hai vo bhi targeted audience ke liye. ye logo ke interste pe kiya jane wala blog hai jisko Segment bhi khaha jata hai
Jaise ki Flipkart ho hi Lete hai. Flipkart ke pass bhut Sare product hai. us product me se fashion industry ye ak niche hai aur usme women fashion, men fashion, kids fashion ye alag category sub niche hai usme agar aap kids jeans, shoes, shirts jese ko target Kar ke Blogging Karte hai,t o vo micro niche kehlayega.
Micro Niche Blogging ke benefit kya hai?
Search engine me bade bade niche pe blogs already rank kar rahe hai. Aese me un topic pe blog banaye to search engine me rank karna mushkil ho jata hai. to aese me agar aap sirf aur sirf micro nice pe blog banate hai to uske fayde kuch aise hai.
Pehla fayda ye hai ki isme competition very low rehta hai.
Keywords ka search volume zayda hai to taffice bhi high rehta hai.
Iss me kuch 10-15 SEO friendly post hi likhna rehta hai
Less time me hi zayda grow kar loge.
Mehnat bhi kam lagta hai one time effort, 1-2 week hi kaam Karna rehta hai.
Jab sab kuch targeted rehta hai to Conservation rate bhi high rehta hai
Micro Niche Blog ke Weakness aur problems
Procuts,Industry, logo ke intrest ke segment ya Keywords ki poploriy pe ye micro niche blog banaya jata hai. mtlb aise targeted audience pe to yisme aapko itne hi audience mileage jo pehle se aate hai. agar 5000 traffic aata hai to again 5000 traffic hi aayega ye yis ka first Weakness hai.
Aur jis topic pe blog banaya hai uske hi related hi product ko sell kar sakoge agar aap dusra product jo aapke niche se alag hai aur vo sell karoge to sayad se aap ke pass traffic bhi aana chod de.
Jis product pe micro niche karoge to us product ke official website ho aisa na bataye. us prdocout ke trusted log sayad hi aap ke blog ko visit kare.
Micro Niche Blogging kaise kare?
Ab aap bhi ye blogging karna chahte hai per kider se start kare ye pata nahi to me yaha pe aapko details ke sath batavuga. agar aap pehle se blogging karte hai to bhi aapko ye post ko read karna chahiye. micro niche blogging karne se pehle aapko in chijo sahi se jaan lena hai.
Sabse pehle micro niche ko select kare:
Micro niche select kaise select kare?
Niche ka selection aapke interest pe ho saktha hai ya fir aap ke pass koi product ho us pe ya SEO ko thoda bhut jante ho to kisi keyword high search volume me niche select kar sakthe hai, mene yaha mere interstt pe aur search volume ke base pe micro niche ko selcet kiya hai aage kya kya karna hai aap vo read karke jane
Mene sabse pehle ak main niche select kiya Digital Marketing.
Iss niche ke bhut sare Sub Niches hai jaise. SEO, SEM, PPC aise etc..
Ab main ye sab niche ke under for Example me SEO ke under ke niche ko select kya jisme On Page seo, Off page seo aur link building backlinks strategies ko hi target kar micro niche banana hai.
Keywords ki popularity pata kare.
kisi bhi blog ka growth uske post pe kiye gaye keywords pe depend karta hai to ye bahut jaruri part hota hai. yis liye jis niche pe blogging karne ja rahe uss keywords ki search volume high rehna chahiye aur competition na ke barabar
Mene agar on Page seo, Off page seo select kiya hai to muje. unke search volume ko bhi dekhna padega.
keywords ka search volume janeke liye me google keyword planner ka use kiya hai.
Mujhe kuch aise keywords mile jiska keywords search volume high hai aur competition very low. on page seo, off page seo, seo tools, seo audit etc...
Domain Name ko select kare. ( EMD tarike se).
Exact Match Domain ( EMD SEO ) tarike se micro niche domain name kaise buy krae
Micro niche blog ke liye domain lene ke liye EMD ka tarika se le EMD ka mtlb hota hai Exact Match Domain. for Example agar aapka niche hai on page seo to aapka domain hona chaiye OnPageSEO.com asie Top level domain pe bhi bana sakthe hai.
Note: Agar aap EMD ke tarike se domain lete hai to aapko aapke us domain ki quality ko bhi accha rakhna hai. yis liye aapko SEO friendly 10-15 posts likhna padega
Micro niche blog ko rank kaise kare?
So aapne itna set up kar liya hoga. ya aap micro niche blog bana to liya per rank nahi ho raha hai to kya karna chahiye?
Content aur SEO ko sahi kare
Blog ko rank karane ke liye me recommend karunga ki aap Wordpress ka istemal kare. blogger to thik hai per vo itna jaldi result nahi deta hai.
Wordpress pe blog banane ke baad Yoast seo plugin ka istemal kare.
Keywords research ko proprer kare aur selected niche pe hi high length content ko publish kare hai
Content ki lengths 5000 words rakhiye yisse search engine ko bhi pata chalega ki ye sites achhi hai jisse aap ki ranking me bhi incersece hoga.
Google search console me blog ko add kare aur Sitemap ko bhi add kar de.
high quality backlinks bhi banaye .
Last words
So friends ye tha mera post Micro niche blogging kya hota hai? Exact Match Domain ( EMD SEO) tarike se micro niche domain name kaise kharide. ye post thoda chota yis liye hai kyu ki blog bana aur seo karna ye sab mene lareday post likha rakha hai. yaha pe mera focus sirf keywords research aur EMD ke domain selection per hi tha. to ab aap samaj gaye hoge. agar aapko ye sab ke bare me aur bhi zayda padna hai to aap mere blog Learn SEO ke section me jake read kar sakthe hai. umeed hai ye micro niche blogging ka post pasand aaya hoga agar aapko ye post pasand aaya hoga to palse share kare thank u
100 niche blogcomments high authority DA PA nich relavent backlinks 100 % Manually work high quality
ReplyDeleteAcknowledges for penmanship such a worthy column, I stumbled beside your blog besides predict a handful advise. I want your tone of manuscript... https://zemits.com/catalog/facial/microdermabrasion-machine
ReplyDelete