Blog Kya Hota Hai ? What Is Blog Full Info Urdu Hindi - My Web

Blog Kya Hota Hai ? What Is Blog Full Info Urdu Hindi

Aaj ke samay me esa koi nahi hogo jo ki online paise nahi kamana chahega or jo bhi aaj ke samay me online paise kamna chahta hai use ye cheez jaroor pta honi chahiye ki akhir blog kya hota hai. To aaj ham apko isi ke bare me btane ja rhe hai ki akhir blog kya hota hai or blog se online paise kaise kamaye jaate hai.


Blog kya hota hai
Aaj ke samay me sabhi kuch online hota jaa rha hai or aapne bhi bahut se ese log dekhe honge jo ki online paise kamate honge or aap ye bhi jante honge ki unka jo background hai vo is field ka hai hi nahi fir bhi bhi apna blog bna kar earning kar rahe hai. Vese asaan shabdo me kaha jaaye to Blog or website ek hi jaise hote hai dono me koi frk nahi hota hai. Bas fark itna hai ki blog me aap bas likhne ka hi kaam krte ho jabki website me coding ka kaam bhi krna pdta hai.
Apko jo bhi aata hai aap apne blog me likh kar usse earning karna shuru kar skte hai. Agr aap bhi google par free blog banana chahte ho to aap yaha click kar ke seekh skte hai ki google par free blog kaise banate hai.

Jab aap apna blog bna kar usme likha shuru kar dete hai to use hi ham blogging kehte hai. Isme aap kisi bhi bare me likh skte hai, jis bhi topic ki apko achi jankari ho aap usi topic ke uper likhna shuru kar skte hai . Or apne blog ke jariye aap achi khasi earning krna shuru kar skte hai.

Jab koi apna blog bna leta hai or uske uper likhna shuru kar deta hai to us insaan ko ham blogger kehte hai jo ki us blog ko likh rha hota hai. Asaan sabdo me kahe to jo insaan apna blog likhta hai use ham blogger kehte hai.

Free me blog kaise banaye
Agr aap bhi soch rahe hai ki aap bhi apna blog likhna shuru kare to aap apna blog free me bna kar likhna shuru kar skte hai isme apka ek bhi rupaya kharcha nahi ayega or aap apna blog likhna shuru bhi kar payege. Agr aapko malum ho chuka hai ki blog kya hota hai to aap apna blog bna skte hai, or agr aap jaana chahte hai ki free me blog kaise banate hai to aap neeche diye gaye link par clik kar ke seekh skte hai.

   : Jane Google par free website kaise banate hai in Hindi
blog banane ke fayde
Blog banane ke vese to bahut se fayde hai par kuch ese fayde hai jinke bare me pta hona apko jaroori hai, or ye fayde neeche likhe gaye hai:
Apki likhi jankari har samay online store rahegi aap jab chahe padh skte hai.
Logon tak apni baat pahucha pana.
Or sabse bada fayda online earning shuru ho jaana
Blog banane ke nuksaan
Jaise ki aap sabhi jante hi hai ki agr kisi baat ke fayde hote hai to nuksan bhi hote hai, to aaj ham apko btayege blog banane ke nuksaan:
blog ke liye samay nikalna padta hai.
Aapne blog to bna diya uspe articles bhi likh diye par uske bad bhi koi visitor apke blog pe nahi aaye to uski bhi tension hoti hai.
Blog se paise kaise kamaye jaate hai
Jab aapne apna blog tyaar kar liya or uske uper visitor aane bhi shuru ho gaye to uske baad baari aati hai paise kamane ki, kyoki agr dekha jaaye to har koi blogging krta hi paise ke liye hai.
Par blog se paisa kamane ke liye apke paas Adsense ya fir koi other ad network hona chahiye jinki ads aap apne blog par place karoge or jab bhi koi visitor apki blog par ayega or  us ad par click karega to usse apko earning hogi.
Agr aap nahi jante hai ki Adsense account kaise banaya jaata hai to aap niche diye gaye link par click kar ke seekh skte hai ki Adsense acount kaise banaya jaata hai.

No comments:

Post a Comment