|| Peshab Ka Ruk Ruk Kar Aana Ya Bilkul Na Aana | Gharelu Nuskhe Desi Elaj || Tips By My Web || Zeeshan ||  - My Web

|| Peshab Ka Ruk Ruk Kar Aana Ya Bilkul Na Aana | Gharelu Nuskhe Desi Elaj || Tips By My Web || Zeeshan || 

Agar kisi ka peshab band hojaye to uske liye achhi tarah se wazu  kar ke awwal aakhir durood shrif 3 baar padhe uske baad 11 baar yeh ayat e karimah padhkar dam kare or mariz ko piladen insha allah peshab ki bandish khul jayegi aur khulkar peshab aayega who ayat e paak yeh hai (fafatahna abwabas sama e bimaa in munhamirin . wa fajjarnal arda uyunan fa al taqa al maa a alaa amarin qad qudira ( al-qamar-11.12)


|| Peshab Ka Ruk Ruk Kar Aana Ya Bilkul Na Aana | Gharelu Nuskhe Desi Elaj || Tips By My Web || Zeeshan || 



kakdi ke ras mein ghee milakar Use karne se peshab bahut jaldi aata hai
1 kg pani mein 45g. Pyaj ka Ras ubaal kar chhan len ab iss pani ko shehad mein milakar daily 3 bar use karne se peshab khulkar ata hai aur bina kisi rakawat o takleef ke aata hai
laimoon ke beej ko koot kar naaf par rakhen ab iss par cool water daalne se ruka huaa peshab ana start ho jata hai
green dhaniya ki pattiyon ka ras 2 tola with 1 tola sugar ke milakar pilae 2_3 bar aiasa karne se peshab khuljar aajayega
hot milk mein gorh milakar pine se peshab ki bahut se bimariyun ko door karta hai aur khoon bhi badhata hai peshab ki rakawat ko khatam karta hai daily 2 glass use kare 4_7 din tak



Peshab Ka Baar Baar Aana Kaise Band Kare?


Agar prshab ki hajat baar baar hojaye to bhi kafi mushkil badh jaati hai so asan desi nuskhe only for you be carefuly read its.
Apple ko Use karne se peshab ka musalsal ana band karta hai'
Agar peshab ki bar baar hajat hoti ho to Palak ki sabzi paka kar Use karne se raat mein peshab ka bar bar ana band hojata hai


Useful Nuskha | Peshab Ki Ziyadati Se Nijat Paiye 


Anaar ka chhilka 5g. peeskar fresh water ke saath daily din mein 1 martaba istemal karen kuchh hi dino mein masana w gurde ki garmi aur kasrat e peshab ki bimari se chhutkara mil jayega insha allah yeh 1 desi aazmudah nuskha hai if you trust me then use its.


Peshab Ke Saath Khoon  Aata Ho To Kya Kare?

Agar kisi ke peshab mein khoon aata ho to Lashodah  ki 10 pattiyan lekar uska ras nikalen ab is mein 10g. Sugar milakar peshab mein khoon aane wale mariz ko din mein 2 bar piladen insha allah khoon band hojayega

Peshab Ke Qatre Ka Ana Band Kaise Kare?
Agar kisi ko peshab ke qatre ane ki problems hai  to (Adrak) len aur isko achhi tarah kootkar thoda sa 2.3.g. daily subah nihar munh nashte se pehle nigal liya kare insha allah iss chhote se amal se qatre ki bimari door hojayegi


Peshab ki shikat ziyadah hona' bistar par peshab karna

Bistar Par Peshab Karne Ki Aadat Kaise Chhudhaen? Taweez o Wazifa Se
Jo bachha bistar par peshab karta ho uske gale mein upar diye gae kalimat likhkar daalen aur yahi word uss palang k paye par baandh den insha allah bistar par prshab karne ki hebit khatam hojaye gi 

No comments:

Post a Comment