Blog ko Google Search Console Me Kaise Add Kare Full Info Urdu Hindi - My Web

Blog ko Google Search Console Me Kaise Add Kare Full Info Urdu Hindi




Dosto aap sabhi ka ek baar fir se aapke apne blog me sawagat hai. To dosto agr aap mera ye article Blog ko Google Search Console me kaise add kare padh rahe hai to iska matlab hai ki aap bhi apna blog banane ke bare me soch rahe hai or aap bhi chahte hai ki apka blog bhi google me show ho.

Or ye bahut hi achi baat hai mene ye blog shuru hi isliye kiya hai taaki jo mere bhai low budget me blog banana chahte hai unki help ho sake, or me bhi aap sabhi ki sahayata krne ki poori koshis karunga or jaha bhi apko meri jaroort hogi apka saath dunga. To dosto blog ko google search console me kaise add kare ye janne se phle apko ye janna jaroori hai ki akhir blog ko google search console me add karna jaroori kyo hai.

Blog ko Google Search Console me add krna jaroori kyo hai:
Blog ko google search Console me add karna ek bahut hi jaroori factor hai, agr aap koi blog likh rahe hai or to jahir si baat hai ki aap chahte honge ki apka blog koi padhe bhi. Par agr aap google search console me apna blog add nahi karte hai to apka blog logo tak nahi pahunch payega.
Agr aap apne blog ko google search console me add karte hai to google ko pta chal jayega ki is naam ka bhi koi blog hai or jab bhi log esa kuch search kare jiske bare me aapne apne blog me likha hua hai to google seedha apke blog ka result show karega or reader seedha uspe click kar ke apke blog me enter ho jayega.
Prantu agr aap apna blog google ke paas submit hi nahi karege, to jab koi google par kuch search karega or apke blog me vo cheez hogi to bhi google apke blog ko search result me samil nahi karega. to isliye blog ko google search console me add karna jaroori hota hai.
Aap apne blog ko other search engine jaise ki Bing and Yahoo me bhi submit kar skte hai, prantu me yaha par apko google search console ke bare me hi batane jaa rha hu kyoki 90% traffic blog me google se hi aati hai baaki other sources se aati hai jaise ki facebook, direct and other search engine.


Blog ko google search console me kaise add kare ye sabse jaada bda swaal hmare samne khda hota hai jab bhi ham apna pehla blog banate hai. Par dosto apko tension lene ki koi jaroort nahi hai me apko bahut hi asaan tarike me bta dunga vo bhi step by step ki kasie add karte hai blog ko google search console me.



Step1:
Sabse phle aap bhi google.com open kar le or search kare Google webmaster search console or jo bhi result sabse uper show ho uske uper aap click kar de.


Step 2:
Apni ID ke sath aap login ho jaaye or fir jab aap login kar jayege to apke samne kuch esa interface samne ayega. Site URL ke sthan par aap bhi apni website likhe jaise ki mene likhi hai par yaad rakhe apni website ke sath http:// lgaana na bhule. Or Uske bad aap Add property ke uper click kar de.


Step 3:
Uske baad apke samne kuch esa interface dikhega isme apko kaha jayega ki ye website apki hai is cheez ko aap verify kare. Apko ghabrane ki jaroort nahi hai aap thoda sa neeche scroll down kare.


Step 4:
Abhi apke samne yaha par bahut se tarike show honge apni website ke liye ownership sabit karne ke liye to aap HTML tag ke uper jaa kar click kar de or fir apke samne kuch neeche diya gya interface open ho jayega.


Step 5:
Abhi aap uper diye gaye HTML tag ko copy kar le or blogger.com par chle jaaye.


Step 6:
Abhi aap theme ke uper click kare or theme page ko open kar le.


Step 7:
Abhi aap Edit HTML par click kar ke apni theme ko edit karne ke lie open kar le.


Step 8:
Abhi apke samne kuch esa interface dikhega or apko tag find out krna hai jo ki blogger ki 4 line me hota ha jaise ki apko samne tasveer me dikhaaya gya hai.


Step 9:
Abhi aapne jo HTML code Verification ke liye copy kiya tha use Tag par enter press kar paste kar de jaise ki apko uper tasveer me dikhaaya gya hai.


Step 10:
Abhi aap bapis google search console me jaaye or verify ke uper click kar de.



Step 11:
Abhi apke samne kuch esa show ho  ga jo apko uper tasveer me dikhaaya gya hai or likhaa hua ayega ki ownership verified. Or abhi aap go to property par click kar ke apni property check kar skte hai.


Step 12:
 Abhi aapke samne kuch esa interface show hoga to aap sitemaps ke uper clik kar de kyoki google search console ke paas apko apna sitemap bhi submit krna jaroori hota hai.


Step13:
Abhi aap sabhi ke samne kuch esa interface open hoga to aap seekha jaha par uper tasveer me dikhaaya gya hai vese hi sitemap.xml likh de or submit button ke uper click kar de.


Step 14:
Abhi aap sabhi ke samne kuch esa pop up samne ayega jiske uper likha hoga ki sitemap submitted successfully. To dosto apka blog google search console me add ho gya. Or me aasha krta hu ki aap log sikh hi gaye honge ki blog ko google search console me kaise add kare.

Conclusion:
 Dosto is sab ka conclusion to yahi niklta hai ki hame apna blog google search console me add krna jaroori hota hai. Or is article ko padh kar aap seekh hi gaye honge ki Blog ko google search console me kaise add kare. Or fir bhi dosto agr aapko koi bhi problem aati hai to aap contact me par click kar ke seedhi mere sath baat kar skte hai or koi bhi problem ho chahe is article ke related ho ya fir is website par publish hue kisi or article ke related aap seedhe mere sath contact kar ke baat kar skte hai

No comments:

Post a Comment