|| Danton Ke Dard Ka Desi Ilaj_ Masodun Se Khoon Behna Dental Care All Problems || Tips By MyWeb || Zeeshan || - My Web

|| Danton Ke Dard Ka Desi Ilaj_ Masodun Se Khoon Behna Dental Care All Problems || Tips By MyWeb || Zeeshan ||

Jab kabhi bhi chheenk aye to Alahamdu lillah keh len Aur agar rabbul aalamin bhi badhaden yani Al hamdu lillah hi rabbil aalamin kahe to behtar hai jabki saath mein

Alaa kulli haal kehlen to kya baat hai hazrat e Molaa Ali radiallaho anhu farmate hain ki jo shakhs chheenk ke turant bad Alhamdu lillah he Alaa kulli hall kahega use kabhi darh Aur kaan ka dard na hoga insha Allah taala




Dental Care Tips Gum Diseases in Urdu


Mufassir e hakeem mufti ahmad yaar khan r.a. farnate hain ki jo koi shakhs chheenk aane par ALhamdu lillahi rabbil aalamin Alaa kulli haal kehkar apni zaban ko tamam dantun par fer liya karega to bhi usko kabhi daant or dadh ki shikayat nahi hogi balki hifazat hogi aisi bahut si bimariyun se yeh nudkha aazmaya huaa hai.

Bahar e shariat hissa 16 pag.120 par hai chhinkne wale se pehle hi sunne wale ne alhamdu lillah kehdiya to hadis shareef mein bataya gaya hai ki uss aadmi ko daant & kaan ka dard kabhi nahi hoga + aur Tukhma_bad hazmi_ se mehfooz rahega aur 1 dusri hadis mein hai ki aisa kehne wala kamar ke dard se hifazat mein rahega.



Daant Kamzor Hone Ki 1 Badi Wajah? & دانتوں کی حفاظت کیسے کریں؟

Khana khane ke baad khilal (saaf) karna sunnat hai agar na kiya jaye to daant kamzor hojate hain.

Daant Ke Dard Ka Ayurvrdik : Tips Gharelu Ilaj in Hindi Urdu

1_ Heeng. Ko pani mein josh dekar achhi tarah se kulliyan karne se dant aur darh ka dard door hojata hai

2_ dant dard ho ya masodun ki sojan agar heeng ya aqar qarha. Daant mein dabaya jaye to dard just khatam hojata hai yeh 1 kamyab desi ilaj hai 1 baar try kare

Dantun Ka Khoon Band Karne Ka 5 Best Desi Ilaj
1) garam tuwe etc. Ke jarye fulai hui fitakri ka powder masodun mein lagaiye
2) lemon ka ras rozana malne se bhi khoon band hojata hai.



3) apple ke ras mein khane ka soda milakar dukhte huwe daantu or masodun par malne aur lagane se kafi faidah hoga insha allah tala

4) every day use tometo juice kuchh din tamatar ka ras thoda thoda karke piliya karen isse bhi dantun ka khoon aur masode achhe hojaenge

5) Anaar ke phool chhaun me sukhakar khoob bareek peeskar botal mein bhar lijiye fir isi se subah shaam manjhan ki tarah dantun par mal len insha allah dantun se khoon ana band hojaega or hilte huwe dant bhi majboot (strongly) ho jaenge



Dantun ki all problems ka ilaj (miswak) mein mojood hai magar shart yeh ki miswak ko sahi tarah se kiya jaye warna aaj kal jo log karte hain woh sirf rasm ada kar rahe hain. Right way janne ke liye kisi aalim e deen se rabta kar sakte hain woh aapko sahi sunnat tarika bata denge jisse aapko kabhi bhi dantun ki koi shikayat nahi hogi

About Dental Care Tips Attention Please
Agar aap dantun ki sahi dekh bhal nahi karte hain to aapko munh ki kisi bhi tarah ki problems ka samna karna padh sakta hai kyunki munh mein hone wali bimari ki wajah se aap ki khane ki aadat bigad sakti hai jiski wajah se sahi tadad mein khurak nahi li jasakti jabki giza ke bare mein aap bhi jaan sakte hain ki hamari body ke liye yeh kitni jaruri hoti hai so i suggest you please apni health ko perfect banye rakhne ke liye nashili chizun ko choodh den because aapke dant bhi life partner hain yeh aapki zimah dari hai ki inki hifazat aap khud kare

Hi my all dears i hope that you R mostly like today's post DENTAL CARE ALL problems if you really like't please share to all social media thank again about read completly post

No comments:

Post a Comment