Gurde Ki Pathri Ka 100%Ilaj Kidney Stone Treatment - My Web

Gurde Ki Pathri Ka 100%Ilaj Kidney Stone Treatment

Gurde ki Pathri (Kidney-Stone) hona 1 aam baat hai kisi ko bhi hosakti hai iss mein achanak dard itni shiddat se hota hai ki insan tadap jata hai issliye sabse bada iska ilaj yahi hai ki apne khan paan ka bahut ahtiyat karen aur yeh jaan ne ki koshish karen ki pathri hoti kaise hai iske lakshan aur vajah kya hai taki ilaaj karne mein mushkil na ho

Pathri Kyun Hoti Hai پتھری کیوں ہوتی ھے

Jab jisam mein calcium ki ziyadti ho jati hai to yahi calcium jama hone lagta hai aur isi se pathri hona start hojati hai aur ahista ahista yahi chhote chhote raishe kan pathri ka roop leleta hain
magar takleef wali baat tab hojati hai jab yeh peshab dani ki naliyun mein pahunch kar peshab ko puri tarah band kardeti hai tab jo dard hota hai woh sirf wahi mehsoos kar sakta hai jisko yeh takleef ho chuki ho khuda khair kare




Aur iska sabse bada karan bazaari khane hain jinka daily istemal karne ke sabab bhi laakhun log pathri ka shikaar ban jate hain
  ▪Mardana Kamzori Ka Successefull Ilaj Kaise Kare

Pathri Se Kaise Bachen? How To Safe Kidney Stone پتھری سے کیسے بچیں
Agar aap kidney-stone gurde ki pathri se hamesha ke liye bachna chahte hain to rozana Ek Lemoon ka ras (juice) pina apni aadat bana len Kyun ki Lemoon (nimbo) mein sabse ziyada (citrate) calcium ko marne wala mada paya jata hai iss liye kidney mein jo calcium jama hoga usko yeh bilkul ghulakar khatam kar dega jiski wajah se gurde ki pathri kabhi janam hi nahi legi insha allah this is true line tray it
 

Pathri Ka Kaise Pata Lagay Ki Hai Ya Nahi پتھری ہے یا نہیں کیسے معلوم چلے
 Pathri ke mukhya lakshan Ulti hona peshab dard ke saath ana peshab ka ruk ruk kar ana peshab dani se khoon ka aana yeh makhsoos nishaniyan hai pathri ke rogi ki agar aap in mein se kisi bhi lakshan ko dekhen to samjh len ki aapko kidney ston pathri hai warna nahi

hakeemun aur tabibun ka kehna hai ki
Kharbuza khoob khaya karen ki yeh sar ki khushki sukhepan aur kharish (khujli) ko door karta hai jism ki ghanthen galata hai aur khoob peshab laata hai aur masane gurde ki pathri se nijat dilata hai

kharbuza aur khujoor milakar khana mohammad e arabi s.a.w. se bhi sabit hai bas hamare liye itna hi kafi hai ki rasool e akram s.a.w. ki sunnat hai isko pathri (stone) ke mareez jarur khaen insha allah allah aapko shifa ata farmadega
 
Pathri Ka Gharelu Ilaaj  (Kidney Stone Home Treartment) پتھری کا گھریلو علاج
Radish_Moli aur aalu barabar (humvajan) bhoon kar hasb e jarurat (sonf.namak.kali mirch) shamil karke use istrmal karna bhi gurde ke dard aur pathri ke liye bahut mufeed hai

Kharbuze ke thode se beej chheel kar daily khalijiye aur baad mein pani bhi pilen insha allah isse gurde ke dard mein kafi rahat w sukoon milega




Moli aur uske patte kakdi khira tarbooz aur kharboza kasrat se (ziyadah) khana bhi gurde ke dard aur pathri se nijaat ka sabab hoga aur yeh bahut hi behtreen nuskha hai

Shehad- Lemoon ke ras aur zetoon ke 1-1- spoon half 1/2 galass pani mein hul kar ke subah nihar munh [bhoke pet] pilen aur yeh 15-20 din tak lagataar karen insha allah bahut aazmudah amal hai isse kaisi bhi pathri ho reza reza hokar nikal jaygi

1 kg. Doodh (milk) mein 1 kg. Pani milakar 1 hi din mein piliya jay to insha allah pathri ka rog kuchh hi dinun mein khatam ho jayga

Pathri Ka Quraani Ilaaj w Duaa
Gurde ki pathri ki duaa kidney stone pray
Peshab Jaari Karne & Pathri Ki duaa


Iske alawa bhi bahut se ilaaj hain for example chaqundar ilaychi chane ki daal w shehad palak ganna ka juice etc. Magar yeh jo aapko upar jitne ilaj batae gay hain in ko use karlen insha allah dusri dawaun aur ilaaj ki jatutat hi nahi padegi

Note:- han 1 baat ka khayal rakha jay ki yeh ilaaj karte hain to parhez bahut jaruri hai parhez khud aadha ilaaj hota hai so ziyada tel se bani chijen junk foods ka istemal na kare to 100% aapko pathri ya gurde ki pathri ya gurde ke dard se chhutkara mil jayga insha allah




Hi my all dears ummed hai ki aaj ki (kidney-stone (gurdey ki pathri) wali post aapko pasand aai hogi agar yeh hai to Please isko apne friends ke saath bhi share karen aur sawab e jariya ka haqdar bane

No comments:

Post a Comment