White Hair Treatment Safed Baalun Se Chhutkara Kaise Paaen? - My Web

White Hair Treatment Safed Baalun Se Chhutkara Kaise Paaen?

White Hair
(sufed-baal) insaan ki shakhsiyat mein ek spasht parivartan (wajeh-tabdili) le aate hain aamtaur par sufed baal hi logon ki umar ke bare mein sab sach sach bata dete hain, jiske sabab aatmvishvaas (khud-aitmaadi ke khaatme ke khadshaat) chinta badh jaati hai lekin badhti hui masrufiyaat, preshani,khoon aur vitaamin ki kami ke saath saath badhti pardushan (aaludgi) ke kaaran ab sufed baal budhape ke mohataaj nahin balki aaj kal yuva pidhi (nowjawaan) bhi sufed baalon se bahut preshaan dekhe jaa sakte hain ziyadahtar log aaj kal sufed baalon ke khaatme ke liye bazaar mein uplabdh (dastyaab) colur se madad hasil kar rahe hain, lekin unke colurs ke baare mein yeh baat bhi  zahir ho chuki hai ki un mein mojood rasayan (cemiculs) baalon ke lie behad hanikarak (nuqsaan dayak) hain

iske alaava yeh colurs mustaqil tor par hal nahi balki har mah aapko un colurs ko istemaal karna jaruri hai lekin aapko preshaan hone ki bilkul jarurat nahin hai kyonki hamaare paas is samasya (problum) ka bahut hi sasta aur aasaan aur hamesha hamesh iss bimari ko khatam karne ka nuskhaa mojood hai yeh praacheen kaal (qadeem-zamaane) ka nuskha hai jo aaloo (potato) ke chhilkun ke pani se sir dhone ka hai yeh sufed baalon ko khatam karne ke liye ek aazmudah tarika hai aur aapke baalon ko mazboot bhi karta hai aaloo ke chhilke mein mojood starch  ki miqdaar apne sufed baalon ko kaala kar deta hai ab hum aapko batate hain ki kaise iska mishran (murkkab) banaya jae taaki aap aasani se baalon mein laga saken



Bazaari Dawaaen Aur Unke Nuqsaanaat सफेद बाल ओर बाजारी दवाईयों के नुकसान
Aaj bazaarun me 1000 hazarun rupay ke kisam kisam ke tel mojood hai jo add dekar itni taarifen ki jaati hai ki jaise abhi usko use kya aur subah me risult mil jaega magar afsos ki natija hamare saamne hota hai  magar humne aapko 1 aisa nuskha bataya jiss me koi risk bhi nahi na hi koi ziyadah kharch bas simpel treatment hai

aaloo 2-3kg len aur unke chhilkun se pani ko ikhattah karlen or unko 1 shishi me daal den jab nana ho to wahi chhilkun ka pani len aur apne sir ke baalon ki jharhun me achhi tarah lagaen fir kuchh time 20-25- mint baad sir ko dholen aisa kuchh dinun tak ki jiye insha allah iss yunani nuskhe ka power dekhenge ki kitna zabardast hai baalon ko mazboot aur sufed baalun ko kaala black karne me kafi madad karega Not 20-30 mint tak lagaya huaa rakhen

Baalun Ko Safed Hone Se Kaise Roken White Hair full Treatmant

kuchh dinon tak, nahaane se 1/2 ghante pehle rozanaa sir mein pyaaj ka pest (ras) lagaen is se baal kaale hone lagenge

Hafte (sapteh) mein kam se kam 3 din 10 minat kachhe papite  ka pest sir mein lagaen is se baal nahin jhadenge aur majboot bhi honge

Nimboo ke ras mein aamla powdar mila kar use sir par lagaane se bhi safed baal kaale ho jaate hain




rozanaa shuddh (asli) ghee se sir ki maalish karke bhi safed baalon ko kaala kiya ja sakata hai

Adarak ko kdadoks kar ke shahad ke ras mein mila len fir usko baalon mein kam se kam saptaah mein do baar niyamit (ba-qaaidgise) lagaen baalon ka safed hona bilkul kam ho jaega

Aadhaa 1/2 kap naariyal ka tail ya jaitoon ke tail ko halka garm karen ismein 4 graam kpoor milaakar is tel se sir mein maalish karen yeh maalish saptaah mein ek baar jaroor karni chaahiye kuchh hi dinun mein roosi khatm ho jaegi aur baal bhi kaale rahenge

Aamle ke powdar mein nimboo ka ras milaakar use niyamit (lagataar) lagaen shaimpoo ke baad sabase pehle paudar paani mein ghol kar lagaane se bhei baalon ki kandeeshaning hoti hai, aur baal bhi kaale hote hain

Sardi mein til ziyadah miqdaar mein khaen til ka tel bhi baalon ko kaala karne mein bahut madad karta hai

 my all dear readers yeh nuskhe dikhne me bhale hi chhote hai magar inka asar bada powerfull hai isko istmaal karen bindaas hokar koi bhi nuskha apke liye nuqsaan dene wala nahi hai insha allah agar aapne sabse pehle aaloo ke pani ka istimaal karliya to shartiya faidah milega insha allah tabarak wtaala

No comments:

Post a Comment