||Kya Roza Rakhne Se Bimar Hote Hain Doctors Team Report Best Ramzan Fact in Islam || By MyWeb || Zee ||
Kuchh logun ka kehna hai ki roza rakhne se insaan kamzor hokar bimaar padh jaata hai
Jabki aisa nahi hai (al-malfooz part-2-pag-143) par sarkar imam-e-Ahmmad Raza Khan r.a. farmate hain 1 sà al ramzanul mubarak se kuchh arsa pehle walide marhoom H.molana Naqi ali khan a.r. khawab mein tashrif laae aur farmaya beta aane vaale ramzan shrif mein tum sakht bimar ho jaoge magar khayal rakhna koi roza tum se qazaa (chhoot) na hone pae
Chunanche walide girami ke irshad ke mutabiq haqiqt mein ramzan mein sakht bimar hogaya lekin allah ka ahsaane azeem ki mera 1 bhi roza na chhoota aur aalahazrat a.r farmate hain ki roze ki barkat se hi allah ne mujhe sehat di aur sehat kyun na milti jabki sarware kainaat s.a.w. ka farman hai
[ صُÙˆْ Ù…ُÙˆْ ا تَصِØُّوا ]
Roza rakhho sehatyaab ho jaoge ¡
To aapne jaanliya ki roza rakhne se yaqinan sehat milti hai meadah ka warm theek hota hai bimari nahi ¡
Amirul momineen hazrate mola Ali r.t.a se marvi hai ki allah ke pyare habeeb s.a.w. ka farmane azmat nishaan hai ki Beshak allah taala ne bani israeel ke 1 nabi a.salam ki taraf wahi farmai ki aap apni qaom ko khabar dijiye ki jo bhi banda meri khushi ke liye 1 din ka roza rakhta hai to mein uske jisam ko sehat bhi ataa karta hun aur usko azeem ajar (sawab) bhi dunga (shuabul imaan 2923)
Mere dostun in ahadees se pata chalta hai ki roza ajaro sawab ke saath husoole sehat ka bhi jarya hai Aur ab to sainsdaan bhi apni tehqiqaat mein iss haqiqat ko tasleem karne lage hain For Example Moore-Palid_oxford unversity ka profeser kehta hai mein islami uloom (subjects) padh raha tha jab Rozon ke bare mein padha to uchhal padha ki islam ne apne manne vaalun ko kaisa azeemusshan nuskha diya hai mujhe bhi shoq huaa iss liye meine musalmanu ki tarz par roza rakhna shuru kardiya
Prof. Moore Palid ka kehna tha ki kafi lambe waqt se mere meade (معدے) par warm tha kuchh hi dinu ke baad mujhe takleef mein kami mehsoos hui iske baad meine aur ziyadah yani 1 month complet roza rakha yahan tak ki sir 1 mahine me mera marz (meade ka warm) bilkul sahi hogaya to iss se sabit hogaya ki roza rakhne se sehat milti hai na ki koi bimaar hota hai
Hairat Angezz Inkshafaat taajubb vaale Natije
Aur next yeh bhi kehta hai ki meine (ALF GAAL) Holend ka padri ne shugar,Dil,aur meade, ke marizun ko lagataar 30 din ke roze rakhwae natija yeh nikla ki shugar vaalun ki shugar control hogai dil ke marizun ki ghabrahat aur saans ka phoolna kam huaa aur meade ke marizun ko sab se ziyadah faidah huaa
1 angrezz ka bayan hai (sigmend-fride) mahire nafsiyaat kehta hai ki roze se jismani khichao,zehni dipretion, aur nafsiyati amraz (bimariyun) ka khatma hota hai
Doctors Ki Tehqiqati Team-Aur-Roza
1 akhbari report ke mutabiq Germany, England,aur America, ke most and mahir doctors ki tehqiqati team Ramzanul mubarak mein pakistan aai aur unhone babul madina karachi,markazul-auliya r.a. Lahor, aur dyare mohadise aazam a.r. sardar aabad (faisal-abad) ka intikhab kiya
jaizah ke baad unhone yeh report pesh ki chunki muslim namaz padhte hain aur ramza mein kuchh ziyadah hi pabandi karte hain matlab Naak (nose) Kaan (Eair) aur gale ke E.N.T. hain isliye wazu karne se bimariyun mein kami waqe hoti hai aur musalman roze ki wajah se kam khate hain issliye meada,jigar,dil,aur aasab yani pathun ke amraz mein bahut kam mubtala hote hain
to kya aap ab bhi kahenge ki roza rakhne se insaan bimar hota hai ji nahi balki ab iss doctori tehqeeq ko janne ke baad kehna padega ki be shak roza to bimariyun ka khatma (the-end) karta hai
Khoob Dat Kar Khane Se Bimariyan Paidah Hoti hai
In my case Roze se koi bimar nahi hota balki iski wajha koi aur ho sakti hai aur iss galat fehmi (na samjhne) ki wajah se roze ko badnam na kare balki apne Rab ka ahsane azeem mane ki ussne roze jaisi azeem neamat se humko sarfarj kiya haan yeh bhi ho sakta hai ki SEHRI-IFTARI mein be ahtiyati aur bad parhezyun ke sabab ya fir donun waqt khoob murgan yani Tel,Ghee,Chikni Chupdi, gizaaun ke istemaal aur raat bhar waqt be waqt khate pite rehne se rozadaar bimar ho jata hai issliye sehri wo iftari ke waqt khane pine mein ahtiyat baratni chahiye
Raat ke dowran pet mein gizaa ka itna ziyadah bhi zakhira (over-full) na kare ki din bhar dakaaren aati rahe aur roze mein bhook aur piyas ka ahsaas hi na ho pae kyunki agar roze ki halat mein bhook piyas ka bilkul ahsaas na ho to roze ka kya lutf ?
Roze ka mazaa hi uss waqt hai jab sakht garmi ho shiddat ki piyas ki hont sookh jae aur bhook aisi ki pura badan nidhaal hojae
Aur aise mein madina e paak ki mithi garmi aur thandi dhoop ki yaad tazah bhi ho aur A- kaash karbala ke tapte hue sehra (forest) aur gulistane nabuvvat s.a.w. ke mehakte hue phool jo 3-3 din tak bhook piyas se tadpe the same unki yaad dilae aur jis waqt bhook aur piyas kuchh ziyadah hi satae uss waqt taslimo riza (khushnudi-ekhuda) ke paikar madine ke taajwar kul nabiyun ke sardaar mehboobe khuda s.a.w. ke shikam (pet) athar par bandhe hue ba muqaddar pathar bhi yaad aajen to baat hi kya kehna iss liye dostun roza sirf khane pine aur sambhog (sex) chodhne ka name nahi balki apne Aaqa s.a.w. aur apke sahaba aur karbala ke laalun ki yaadun mein gum hojane ka name roza hai Iss maqam par sarkar Aalahazrat imama ahmmad raza khan a.rehma farmate hain
"Kaise Aaqaun Ka Hun Banda RazaBoll Baale Meri Sarkaarun Ke(hadaiqe-bakhshish)"
Mere Dostun iss puri post se humen yahi sabaq milta hai ki roza to sehat ka khazana hai fir yeh kaise koi keh sakta hai ki roza insaan ko bimar kardeta hai naak par makhhi beth jae to usko hatane ki koshish karna chahiye na ki naak hi ko hatadiya jae
Agar aapko yeh post achhi lage to jaroor apne friends ko whatsapp facebook google par shaer kare allah aapko iska ajar dega insha Allah
No comments:
Post a Comment