|PLAGIARISM KYA HAI?|PLAGIARISM CHECKER TOOL KAISE USE KARE?| |Urdu Hindi| Article By MyWeb | ZEESHAN ARSHAD |
Plagiarism checker tool ki help
se apne blog ki ranking kaise badaye? Dosto agar aap plagiarism checker tool ke baare me jaana chahate hai
or iska kaise use kiya jata hai toh humari es post ko pura pade. Ye post aapke liye kaafi useful ho sakti hai.
Plagiarism kya hota hai?
Toh dosto sabse phle mai aapko ye bta du ki plagiarism ka matlab kya hota hai. Plagiarism matlab ye hota hai
ki aap kisi dusre aadmi ke ideas, content or views ko churakar apne view or ideas btate ho ese he plagiarism
bolte hai. Agar simple words me bola jaye toh dusre ke ideas ko copy karke apna btana.
Toh dosto ab aap etna toh jaan he gye honge ki plagiarism ka kya matlab hota hai. Ab mai aapko ye bta du ki
ye ek blogger ke liye kyu important hai. Ye kisi bhi blogger ke liye bhut important hai ki koi uske ideas or
content ko use karke apna na bataye.
Also Read - Blog ke content ko copy hone se kaise bachaye
Plagiarism Checker Tool kya hai?
Plagiarism Checker tool ek aisa tool hota hai jiski help se hum ye pata laga sakte ki jab bhi hum apne blog ke
liye koi bhi post likhte hai toh kisi dusre ke post se match toh nahi ho rahi hai. Agar aapki posts kisi dusre ke
content se match ho rahi toh wo Google par jaldi se rank nahi karegi. Esliye hum plagiarism checker tool ka
use karte hai. Jiski help se hum apne blogs ki posts ko unique bana sakte hai.
Plagiarism Checker Tool ko kaise use kare?
Toh chailye dosto ab mai aapko btata hu ki aap es tool ka use karke kaise apni posts ko SEO friendly bana
sakte hai or jaldi se use rank kara sakte hai.
Plagiarism Checker tool ka use karne ke liye sabse phle aap es website par visit kare.
Plagiarism Checker
Jab aap plagiarism checker ki site par aa jaye toh aapko jo bhi post ya article hai or uska plagiarism check
karna chahate hai toh use copy karke yaha paste karde. Or yaha bss aap 1000 words ki posts ya articles ko he
check kar sakte hai.
Toh site open karne par aapko aisa interface dikhayi dega aapko yaha par wo article paste karna hai jise aap
check karna chahte ho.
aap yaha par kisi text file ko upload karke bhi check kar sakte hai.
Jab aap yaha apne article ko paste kar do uske baad aapko check plagiarism par click karna hai. uske baad
aapke saamne result show ho jayega.
No comments:
Post a Comment