||Top Secret Overheating Your Smartphone Android Garam Kyun Hota Hai || Tips By MyWeb|| Zeeshan ||
Smart phone ka gram hona ek aam baat ban chuki hai. Games khelte hue, vedio dekhte hue ya kuchh der torch chalu karne se bhi smart phon tezi se gram hona shuroo ho jaata hai. Application mein aisi kaee kaaran ho sakte hain jinki vajah se smart phone gram ho jaata hai. aisi sthiti mein sabse pahle yeh jaan ne ki jarurat hai ki aakhir phone garm kyon ho raha hai to iska mukabala kiya ja sake
Cooler Master Application
Agar phon bahut jyaada gram ho raha ho to use thanda (cool) karne ke liye cooler mastar application istemaal ki ja sakti hai jab aap is application ko Use karenge to sabse pahle yeh Device taapmaan (temperature) dikhaegi aur yahaan CPU aur RAM ki sthiti bhi maujood hogi niche tasveer dekhen ⬇
Sabse Niche "Deduct overheating apps" ka baton maujood hoga jiske jarye se aap jaan sakte hain ki kaun si Application iski vajah ban rahi hai cool down baton ke jarye se unhen band karke is maamle ko control kiya ja sakta hai
Click Hear For Cooler Master Apps Downlod
phone thandi jagah par rakhen
jis jagah phone rakha ho vahaan ka taapmaan bhi phone thanda ya gram karne ka kaaran banta hai phone ko aisi jagah par mat rakhen jahaan direct dhoop ya gram hawa aati ho. phone ko thanda karne ka ek achha tarika yeh bhi hai ki ise cover se baahar nikaalde aaj kal takriban sabhi log phone ki raksha (safety) ke lie use cover chadha kar rakhte hain jo is taapmaan ko thanda karne se rokata hai matlab aapke phone ka hamesha cover mein rehna usko jo hawa lagni jaruri hai usse rokta hai
rokta hai isi vajah se phone jiyadatar overheating hota hai
Update or uninstall applications
jab application mein dosh (kharabiyon ki khoj hoti hain to unhen theek karne ke liye fori update jaari hoti hain samasya pakad application phon ko gram kar sakti hain, is liye unhen time to time update karte rahen iske alaava sabhi installed-application ki bhi khabar lete rahen aur jo apps aapke kaam ki nahi ya abhi iski jaroorat na pade to unhen turant uninstall kar den ya fir delete hi karden isse aapka faidah yeh hoga ki phone ki ram bhi achhi hogi device ko bhi araam milega + overheating yani baar baar apka mobile gram bhi nahi hoga
How Unlock My Smartphone Password Kaise Kholen Click Hear
phone ko hava ke samne rakhen
jis tarah Laptop ka temperature kam karne ke liye uski stand ke niche pankhe (fen) lage hote hain usi tarah phone ko bhi shaant aur cool rahne ke liye hava ki jaroorat hoti hai use kuchh der pankhe ke saamne rakhne se bhi achha farq (effect) padta hai yeh na samjhen ki log aap ko fool (murkh) samjhenge balki phone ko hava pardaan (fraham) karate rahen taki aapke phone ki hifazat ho lekin 1 baat ka hamesha khayal rakhen ki use thanda karne ke liye freeg mein bilkul mat rakhen. aksar log salaah dete hain ki waterproof cover mein rakh kar phone ko freezer mein rakhna achha hota hai lekin yeh tajurba khatarnaak saabit hota hai iss liye isse bachna chahiye
Phone Ko Overheat (gram) Hone se Bachaen
Ab aap yakinan jaan chuke honge ki phon kaise shaant (cool) rakhna hai to aaiye kuchh ahtiyati tadbiren bhi jaan len taaki phone ziyadah garam hone se bacha saken
1- har thode samay baad phone ka pichhla cover kholkar batrry ka jaiza jaroor len. dekhen kahin yeh leek to nahin ho rahi ya kahin phool to nahin rahi yeh sirf aapki sefety ke liye hai warna aaj market mein bahut se aise bhi smart phone bhi hai jo betrry kholne ki ijazat nahi dete lekin aise handset mein pehle se hi high quality betrry daal dete hain jiski vajah se baar baar dekhne ki jarurat na pade
2- Agar aapke long time phone chalana pade to 1-2 saal ka upyog karne ke baad betrry badal lena chahiye isse phone lambe time tak chalne ki full garanty hai
3- phon ko chaarge par lagaane se pahale uska cover utaar den isse bahut jald charge hoga
4- phone mein maujood bina kaam ke future options ko band rakhen
5- Agar high quality images ki jarurat na ho to camera setting ko halka rakhen matlab lightly 13 mega pix ka hai to 9 pix hi rakhen ya 5 hi kafi hai
6- lambe time tak gemes khelne se bachen aur continue internet se bhi ki yeh aapke phone ki betrry ko kafi kamzor karte hain
By following these methods you will save from not only warm your smartphone, but it will have a tremendous impact on your phone's performance
hi my all dears in chhote se tips ko follow karke aap na sirf apne smart phon ko gram hone se bacha sakte hain balki yeh apne phone ki kaar kardgi par bhi jabardast asar padega aur udki condition bhi bilkul jakaas lagegi
No comments:
Post a Comment