Website Ke Liye Do-Follow Backlinks Kase Banaye Part 1 Full Info Urdu Hindi - My Web

Website Ke Liye Do-Follow Backlinks Kase Banaye Part 1 Full Info Urdu Hindi


Website Ke Liye Do-Follow Backlinks Banaye:

Haan me janta hu ki mene uper bakwas kar ke apka samay barbaad kar diya, par abhi jo bhi baat hogi vo to the point hogi. Chaliye to shuru karte hai or dikhate hai apko pehla dofollow backlink le kar.

Do-Follow Backlink 1:



Sabse pehle aap Yahan click karke website open kar le. Or jab website open ho jaaye to aap neeche scrol karte jaye or page ke bilkul end me chale jaaye. Page ke end me apko uper di gayi image jaisa interface show hoga.

Yahan par aap apna naam email or website likh de, or haan yaad rakhe apna naam likhne ki jgha par aap apni website ka naam likhege to jada acha rahega. Or uske baad jo comment box show hoga usme kuch bhi comment likh de or apni website ki url dalne ke liye apko uper image me dikhaaya gya hai vahan par clik karna padega.


Jab aap click kar denge to kuch esa interface apke samne open hoga. Yahan URL ki jgha par aap apni website ki url paste kar de, or Text to display me aap vo keyword likhe jise aap google me rank karwana chahte hai, or tittle me bhi keyword hi likh de or fir okay par click kar dene ke baad apki website ka link comment box me show hone lag jayega.


Itna karne ke baad aap apna comment submit kar de or jab apka comment submit ho jayega to uske baad apka comment kuch ese show hoga jaise uper image me dikhaaya gya hai. Abhi jaise mera comment show ho rha hai apka bhi show hone lag jayega, or esa karne ke baad apka dofollow backlink ready ho jayega.

Do-Follow Backlink 2:


Dusra backlink banane ke liye sabse pehle aap yahan click kare or jo page opne hoga usme kuch esa interface show hoga jo apko uper tasveer me dikhaaya gya hai. Or tasveer me jahan dikhaaya gya hai aap us place par click kar ke next page open kar le.


Abhi jo next page open hoga vo kuch esa hoga jo ki apko uper dikhaaya gya hai.Yahan par apko apna comment, name, email id, apni website ki url or sath me jo captcha hai vo fill karna hoga jaise ki apko next image me dikhaaya gya hai.


In sabhi cheezo ko fill krne ke bad apka ye page kuch esa show hoga, par apko ek baat meri yaad rkhni hogi or vo ye hai ki naam ki jgha par hmesha hi apna keyword likhe, isse apki website ko rank hone me bahut hi jaada help milegi. Or esa karne ke baad aap send comment par click kar de.


Jab aap send comment par click kar denge to esa interface apko show hoga, Jisme apko dikh jayega ki jo apne dofollow backlink banaya hai vo samne likha hoga jaise ki mera dofollow backlink apko dikh rha hai. Or jab aap uske uper click karege to seedha aap apni website par pahuch jayege.

Do-Follow Backlink 3:

Teesra backlink banane ke liye sabse pehle aap yahan click kare  or jab aap yahan click karenge or neeche scrol down karege to apke samne ek esa interface show hoga jaise ki uper dikhaaya gya hai. Yahan apko apna comment apna naam or apni email id in me fill karni hogi.


Par yahan par apko apna comment likhte samay thode codes istemal karne padege, or jo codes apko istemal karne honge vo neeche likhe hai.

<a href="http://www.apki website ki URL.com/">Apki website ka naam</a>

Or jo code uper diya gya hai use thoda edit jaroor kar le, apni website ki URL or apni website ka keyword likhna bilkul na bhule. Or jaise uper tasveere me dikhaaya hai vese hi aap apna comment comment box me likh de or esa karne ke baad submit ke uper click kar de.



Uske baad apke samne kuch esa interface show hoga or apko apna comment dikh jayega ki apka comment kaha aa rha hai. Or agr fir bhi na mile to aap Ctrl+F kar ke dhund skte hai.

Do-Follow Backlink 4:


Forth backlink banane ke liye sabse pehle aap yahan click kare or fir uske baad apke samne kuch esa interface show hoga. Or yahan apko jis jgha par uper image me dikhaaya gya hai us jgha par click kar dena hai or next page open kar lena hai.


Jaise hi next page open hoga to apke samne kuch esa interface show hoga. Yahan par apko ek form dikhega ise fil kar dena hai. Apka naam or apka comment. Par jaise ki uper aapne comment likha tha vese hi apko yahan bhi karna hoga.

<a href="http://www.apki website ki URL.com/">Apki website ka naam</a>

Apko comment box me fir se yahi code istemal kar ke comment karna padega, or url or keyword jaroor change kar le comment likhne se pehle. Or esa karne ke baad aap Submit message ke uper click kar de.



Jab aap submit message ke uper click kar denge to apke samne kuch esa interface open hoga. Yahan par apko captcha code fill karna hoga. Or captcha fil karne ka baad submit par click kar de.



Or jaise hi aap submit pe click karege to esa interface apke samne open ho jayega. Or jaise mera backlink samne dikh rha hai apko apka backlink samne dikhne lag padega. Or esa karne se apka ek or dofollow backlink ban kar ready ho jayega.

Do-Follow Backlink 5:



Fifth backlink banane ke liye sabse pehle apko yahan click karna hoga uske baad apke samne ek page open hoga usme scrol down kar ne ke baad aap page ke end me chale jaaye or jis place par uper tasveer me apko click karne ko kahan gya hai us par click kar de.

Jab aap click kar next page open karenge to vo kuch esa hoga, yahan apko naam comment or captcha tick karna hoga. Or haan yaad rkhne wali baat yahan par comment thoda alg tareeke se krna hoga jasie ki apko neeche dikhaya gya hai.


[URL="https://www.apki website ki URL.com"]Apki website ka naam[/URL]

Abhi yahan jo comment likhna hai vo apko ese likhna hai agr koi confusion ho to aap uper tasveer me kaise likha vo dekh skte hai. Or iske baad aap captcha par click kar ke submit button par click kar de.



Jab aap apna comment submit kar denge to apke samne kuch esa interface open ho kar ayega or usme apko apka dofollow backlink dikhayi dega. Or jab bhi koi is link par click karega to vo apki website par chla jaeyega.
Or is trh se aap apni website ke liye dofollow backlinks bna skte ho. Or jab aapki website par bahut se backlinks ban jaeyge to apki website apne aap hi google par rank ho jayegi.



Important:
Website ke liye dofollow backlinks kaise banaye is series se connected rehne ke liye aap Earning Tips In Hindi ka facebook page like kar de jisse ki jab bhi koi new article is website par ayega to apko pta chal jaeyga. Or agr aap mere sath contact karna chahte hai to contact us page par mera whatsapp number apko mil jayega or aap message kar skte hai.



No comments:

Post a Comment