Website Ke Liye Do-Follow Backlinks Kase Banaye Part-4 Full Info Urdu Hindi - My Web

Website Ke Liye Do-Follow Backlinks Kase Banaye Part-4 Full Info Urdu Hindi

Aslam o Alikum Dosto Wesite ke liye backlink kaise banaye ye sabal har kisi ke dil me aata hai jab bhi veh blogging ki shuraat krta hai or jab mene bhi apni website banayi to mere sath bhi kuch esa hi hua fir uske baad mene seekha ki backlink kaise banate hai.
Or fir mene socha ki jo mere sath hua hai vo dusro ke sath na ho to mene backlink kaise banaye ye hi series shuru kar di. To aaj me isi series ka forth article likhne jaa rha hu or mujhe pta hai jo bhi is article ko padhega uski bahut hi jada madd hogi is article ko padhne ke baad. Chaliye to jada samay barbaad na karte hu shuru krte hai.

To dosto aap sabhi se request hai ki ye series apko kaisi lag rahi hai hame comment box me jaroor likh de taki hame kaam karne me or jada mza aaye. Chaliye dosto to shuru krte hai or dikhate hai apko aaj fir se 5 naye backlink le kar.

Do-Follow Backlink 1:

Pehla do-follow backlink banane ke liye sabse pehle aap yahan par click kare or uske baad apke samne ek esa page open ho kar ayega or apki age varify ki jayegi, aap Yes ke uper click kare de or next page ko open kar le.


Jab aap next page open kar lenge to apke samne kuch esa open hoga, Yahan par aap apni detail fill kar de jaise ki apko pta hi hai, par comment me likhte samay dhyaan rkhna hai ki apko code istemal krne hai jo ki neeche diye gaye hai.
<a href="http://www.apki website ki URL.com/">Apki website ka naam</a>
Or is code ko paste krne se pehle aap dhyaan rakhe ki apko apni website ki url or naam change jaror kar lena hai uske bad hi comment krna hai.


Or jab aap poora data fill kar denge to uske bad apka webpage jo hai vo kuch ese show hone lag padega.


Or jab aap comment kar denge to apka backlink bhi kuch is trh se dikhna shuru ho jaeyga jaisa ki apko mera backlink dikh rha hai.

Do-Follow Backlink 2:

Dusra dofollow backlink banane ke liye sabse pehle to yahan click kare or Fir apke samne jo page open hoga uske end me jaa kar dekhna ek esa interface show hoga jo ki apko uper image me dikhaaya jaa rha hai. Or is form ko poora fil kar de or yaad rakhe name ki jgha apna naam nahi website ka naam ya fir keyword hi istemal karna hai.


Jab aap ise poora fil kar denge to apke samne ek muskil ayegi or vo ye hogi ki iski jo language hai vo sayd spanish hai to apko pdhne me muskil hogi jaise ki mujhe hui hai, to captcha fil krne ke liye sabse pehle captcha ko select kar ke copy kar le, par yaad rkhna sirf captcha ka code hi copy krna hai.


Or uske baad ise google.com par jaa kar search kare or iske age likhe to english, or apke samne aa jayega ki akhir us captcha me apse kya code manga jaa rha hai. To yahan se dekhkar aap ise fil kar skte hai.


Jaise ki mera captcha me the ki two or two ko add kar ke batao kitne hote hai. To mene ise bhi fill kar diya or jahan par apko uper tasveer me dikhaya hai vahan pr click kar diya.


Or jaise hi aap click karege to apka jo comment hai vo uper dikhna shuru ho jaega or apki website ke liye ek dofollow backlink or ban kar ready ho jayega.

Do-Follow Backlink 3:

Third backlink banane ke liye sabse pehle to aap yahan click kar ke page open kar le, or uske baad page ko scrol karte hue neeche chale jaye or fir apko ek esa comment ka section dekhne ko milega yahan par aap jo manga gya hai vo sabhi kuch bhar de.



Or jab aap sabhi kuch fill kar denge to uske baad apka comment kuch esa dekhne ko milega, or yahan aap chahe to code ka bhi istemal kar skte hai jaise ki mene kiya hai or ye code apko neeche diya gya hai.
<a href="http://www.apki website ki URL.com/">Apki website ka naam</a>
Yaad rkhne wali fir se yahi hai ki apni website ka naam or url jaroor change kar de. Or esa krne ke baad aap post comment par click kar de.


Or jab aap comment kar denge to uske baad apke samne kuch esa show hoga ki "apka comment approval ke baad yahan par show ho jayega". Or thodi der bad apka comment yahan par show hone lag jayega.

Do-Follow Backlink 4:


Fourth backlink banane ke liye sabse pehle to aap yahan par clik kare or uske baad aap apke samne uper diye gaye page ke jaisa hi ek page open hoga, Usme aap apni detail ko fill kar de. Par dhyaan rakhe apna comment code ke sath hi likhe code apko neeche diya gya hai.
<a href="http://www.apki website ki URL.com/">Apki website ka naam</a>
Or apni website or keyword ko isme edit karna bilkul bhi na bhoole.


Jab aap apni detail fill kar denge to uske baad aap Submit button ke uper click kar de or apna comment submit kar de.


Jab aap apna comment submit kar denge to uske baad apke samne ek esa comment show hoga jisme ki apko samne dekhne ko milega apka banaya gya backlink.

Do-Follow Backlink 5:


Fifth backlink banane ke liye sabse pehle to aap yaha click kare Or uske baad apke samne kuch esa interface show hoga jo ki apko samne hi dikh rha hai.Yahan par jaise jaise apko uper bataya gya hai vo sabhi kuch fil kar de.


Jab aap sabhi kuch fil kar denge to apke samne kuch esa interface show hoga, or yahan bhi apko code hi istemal karna hoga or code apko neeche diya gya hai.
<a href="http://www.apki website ki URL.com/">Apki website ka naam</a>
Abhi aap is code ko us comment box me type kar de or sath me apni website ki url or naam bhi badal le. Or uske baad niche diya gya comment buton press kar de.



Uske baad apke samne ek esa show hoda ki apka comment jo hai vo successful ho gya hai. Uske baad aap apna page ek baar refresh kar ke dekhe.


Jab aap page ko refresh karenge to apka jo comment hai vo sabse uper show hoga or apko dikh bhi jayega. Or aap bhi meri trh multiple posts ke liye ek hi jgha se backlink bna skte hai.
Also Read: Website Ke Liye Do-Follow Backlinks Banaye Part-5

Conclusion:
Or iss process ko follow karne se apki website ke paas or bhi jada backlink aa jayege or aapki website ka rank dinpratidin badhta hi chla jayega. Or yadi aap chahte hai ki har din ese hi aap backlink banante rahe to aap is blog ko follow karte rahe or seekhte rahe how to create backlinks.
Or dosto facebook ka page like krna bilkul bhi na bhoole taki apko is website par ho rahi har halchal ka pta chlta rahe. Or ek baat apni website ko neche comment box me comment jaroor kar de.

No comments:

Post a Comment